Friday, October 20, 2006

Atom Bomb

Kapda hai bahut zyada par kameez bahut tang hai…
Bomb bahut zyada aur roti bahut kam hai…

Sharaab bahut zyada phir bhi pyaas se nikala dum hai…
Log bahut zyada aur insaan kitne kam hai…

Chaah bahut zyada par milta bahut kam hai…
Baadal hain bahut zyada par baraste bahut kam hain…

Soch bahut umda par hathon mein nahin dum hai,
Bhediye zyada aur bakriyaan kum hai…

Bimaar bahut zyada aur ilaaj bahut kam hai,
Padhai bahut zyada par samajh bahut kam hai…

Ghar bahaut bade par darwaaze bahut tang hain,
Humare censor board ka dimaag bahut tang hai…

Khusk dimagon mein zoron ka laga jung hai,
Insaan ki insaan se apas mein machi jung hai….

Sarkaar chutiyon kee aur akhbaar unkee dum hai,
Oonchee imaraton ke baju mein phaili slum hain…

Neta hain bahut zyada aur voters bahut kum hain,
Khabrein bahut zyada aur vishleshan gum hai…

Khwaab mere apke samjhne wale kum hain…
To shayad,
In sab samasyaon ka samadhan ATOM BOMB hai.

- by Sourabh
sourabhratnu@gmail.com